Sansaar ek rangmanch hai. Ishwar iska sutradhaar hai. Vyakti ek patra hai. Uske kriya-kalap karm hain. Karmon ke anusaar wah fal paata hai. Kabhi wah uchch lok mein jaata hai, kabhi nimn lok mein jaata hai to kabhi wah punah manav-janm paata hai. Sansaar ke rangmanch par wah anek roopon mein aata hai. Kya uski laukik yatra uhi chalti rahegi? Kya atma baar-baar chola badalti rahegi? Ya phir insaan mukti ka koi marg dhoondh payega? Kya uske janm-janmantar ka kram samapt ho jayega? aise tamaam laukik alaukik prashanon ka samadhaan iss pustak mein hai.
Jeevan ko sarthak disha mein le jane ka aavahan iss pustak mein hai. Atma ke uddhar ka samuchit sandhaan iss pustak mein hai. Sansaar-sagar se uss paar jaane ka gyan iss pustak mein hai. Rajeev Sachev engineer (Electronics awam Communication) hain. Vartamaan mein aap ITMNC ke upadhyaksh hain. Aapne Colonel University se Executive Leadership course kiya. Aapne pure vishwa ki yatra ki. Apka karya-kshetra Bharat ke saath-saath anya desh bhi hai. Apki sarvapriya pustak Bhagwad Gita hai jise aapne vigat tees varshon mein shatadhik baar padhi hai.
Aapne iss dharmgranth mein chhipe manavtavadi sandesh ko dhoondh kar prastut kiya hai taki har vyakti apne jeevan ko sanmarg par agrasar kar sake. Neeraj Gupta B.Com., MBA hain aur ITMNC me mahaprabandhak hain. Information and technology mein anek degriyon ko prapt karne ke atirikt aapne Indian Law Institute mein Cyber Security Course bhi pura kiya hai. Vibhinn audhogik kshetron ka rashtriya awam antarashtriya star par aapko vishesh anubhav prapt hai. Vishwa-bhraman ke dauraan aapke andar niyambaddhta, daya, satya, sadachaar aadi ki bhavnayein atyant pusht hui hain jise aap ek safal career awam sukhi jeevan ka mulbhoot rahshya mante hain.
Reviews
There are no reviews yet.